- Posted On: 2020-10-18
- Posted By: Anjali
- Total Views: 3845
- Service: Content Writing
Acha SEO Content Kaise Likhe | Good Content Writing
Eis blog me hum SEO content kaise likhte hai, ye discuss karenge. Aksar log SEO content likhte time sirf keywords par focus karte hai aur baki kayi jaruri pehlu ko ignore kar dete hai.
SEO content k bare me baat karne se pehle ye jaan lete hai ki, content kya hota hai?
Jo v kuch aap online likhte hai usay content bolte hai. Chahe wo content website k liye ho, ya aap koi blog likh rahe ho! Sab content hi hai. Yaha tak Photos, videos bhi jo aap online post karte ho, jisme koi information diya jata hai; usay v content kehte hai.
Par hum yaha us content ki baat kar rahe hai jo likh k bataya jata hai, jise digital marketing k bhasa me Content writing bhi bolte hai .
Content waise to kayi tarah k hote hai par einko mainly do hisso me bata ja sakta hai.
- Blogging- Blogging karne wale writer ko Blogger bolte hai. Ye aap do tarah se kar sakte hai, ek to khud ki website bna k ya dusra koi blogging platform ka upayog karke. Aisa hi ek blogging platform hai blogspot.
- SEO content- Ye content wo hai jo Google ki ranking ko dhyan me rakh kar likha jata hai. Yaha jo writer hote hai wo Kisi wyapar(business) ko Google k pehle page me jagah dilane ka lakshya rakhte hai. Aisa karte time unhe kuch chuninda sabdo(keywords) ka prayog karke wo content likhna hota hai.
Bloggers apne writing ko sahi karne ki kosis karte hai, par SEO content writers jo hote hai na; wo apni writing ko sahi karne ki bilkul kosis nahi karte hai aur eisse unke career ko nuksaan hota hai. Aaj hum yahi baat karenge ki SEO guidelines ko dhyan me rakhte hue bhi hum acha kaise likh sakte hai?
Chahe aap on-page SEO par focus kar rahe hai ya technical SEO, ya sirf link building par, aapko writing aani chahiye. Achi writing aani bahut jaruri hai. Agar aap acha likhna janenge tabhi aap ache content ko pehchan payenge.
Aaj hum jo bhi kuch discuss kar rahe hai, uska benefit aapko kitna milega ye depend karta hai apke writing practices pe. Kuch log pehle se talented hai jinko likhna boht ache se aata hai, aur kuch log aise bhi hote hai jo likh likh k, practice krke, acha likhna sikhte hai.
Sirf acha likhna hi on-page SEO nahi hota, jaisa ki boht sare log apko aaj k date me bolte honge. On-page SEO ko sahi karne k liye bahut sare tips hai jisko apko follow karna hoga. Ye tips ko 2 categories me divide kiya ja sakta hai
- Basic practices- Sabse pehle basic practices k bare me baat karte hai. Ye rahe kuch basic practices jo apke content ko SEO optimized banate hai
- Chote sentences likhiye- Chahe aap hindi, English ya kisi v aur language me likh rahe ho; par apko chote sentence likhne chahiye. Eisse readers ko v samjhne me aasani hoti hai aur Google crawlers bhi apko jaldi hi achi ranking de dete hai. Aap blogging kar rahe hai ya web content likh rahe hai, eisse fark nahi parta. Acha content likhne ka sabse pehle step hota hai chote aur aasan sentences aur paragraphs likhiye. Kyunki search engine khud human nahi hai, isliye usay chote sentence ko samjhne me asani hoti hai aur apke content k rank hone k chances jyada hote hai.
- Competitors ka content copy na kare- Aapne humesha suna hoga ki competitor ka content padhiye, usne jo keywords use kiye hai aap bhi usay use kare ya usse jyada keywords use kare. Par ye bahut hi galat tarika hai. Agar aap apne competitor ka content padh lete hai to apke chances badh jate hai ki aap bhi wahi pattern follow karenge. Par jab aap same style follow kar rahe hai, to ye umeed kaise rakh sakte hai ki Google apke copied content ko rank karega jabki unke pas uska original version already hai. Hum ye nahi bol rahe ki aap apne competitors k website ko analyze na kare, par hum ye bol rahe hai ki aap unka content ko copy na kare. Aap apne website me jo content likhenge usme aap apme productys ya services ko creative way me present karenge taki apke audiences ko aap k business k bare me jankari lene me aasani ho.
- Headline tags ko sahi se use kariye- Headline tags yani ki H1, H2, H3, H4, ein sabko thik se use kariye. Par ab aap soch rahe honge ki H1, H2, H3, H4 sirf HTML attributes hai aur Google eisko koi importance nahi deta to hum eispe focus kyu kare. To eiska answer hai, ki jab aap apne content ko ache se format karte hai to audience ko padhne aur samjhne me aasani hoti hai. Jo Google ko acha lagta hai. Aur wo apke content ko achi ranking deta hai. Bhale hi directly Google ko Htags se fark nahi parta, par agar apke content me aapne use kiya hai to aapke ranking chances badh jate hai.
- Text ko decorate kariye<- Bold, italics, bullet points ko ignore mat kariye. Heading tags k tarah bold aur italics kiye hue part apne taraf attract karte hai aur unhe ush khas points ko padhne aur yaad rakhne me help karte hai. Islye unhe sahi se use kariye. Ek normal approach hoti hai ki keywords ko bold kar diya jaye, jo ki sahi v hai. Par kaafi sare log jitney bar page me keyword repeat hota hai utni hi bar bold kar dete hai. Google hume inorganic keywords stuff karne mana karta hai, par agar aapne kar bhi diya hai to usay bold krke Google k nazar me mat aayiye. Eisse apke ranking k chances kam hote hai. Soch samajh k text ko decorate kariye taki apke content ko achi rank position mile.
- Keywords ko sahi place me use kariye- Keywords boht important factor hote hai apke content ranking k liye. Problem ye hai ki log keywords waha nahi use karte jaha keywords ka sabse jyada asar hota hai. Aapke content me 5 aisi locations hai jaha keywords jarur use kiya jana chahiye.
- Meta title
- Meta description
- H1 tag
- Internal link k anchor text me
- External link k anchor text me
- Long-term practices- Basic rules k bare me baat karne me baad ab bari hai sabse important practices k bare me discuss karna jo ki hume lambe time tak karni chahiye. Aur with time humari ranking improve hogi.
- Daily practice kariye- Aap ek din ye ek mahine me acha likhna nahi shuru kar denge. Daily likhne se aapki speed badhti hai aur jo basic practices k bare me humne baat kiya wo apko yaad ho jayenge. Aap naturally usi tarah se optimized conbtent likhte hai.
- Reader k tarah sochiye- Blog ya website k liye likhte time humesha reader k perspective se sochiye. Search engine pe koi novel padhne nahi aate hai. Wo koi question le k aate hai jinka answer unhe chahiye. Aapke content ko ush question ko explain karna hai aur answer ko ache se samjhana hai.
- Jarurat se jyada lamba mat likhiye- Ek myth hai ki agar aap 1800, 1900, 2000 words ka content likhenge to better rank karenge. Jitna jyada words utna hi acyha rank hone ka chance. Pare aisa nahi hai. Aap utna hi likhiye jitna jaruri ho. Sab kam se kam padhna hahte hai aur jo information chahiye wo lena chahte hai. Islye aap jitney kam words me apni baat rakh sako utna acha hai. Kintu ye yaad rakhna hai ki aap sare points ko ache se cover kar rahe ho. Mainly na kam likhiye na jyada likhiye. Utna hi likhiye jitna jaruri ho apni baat samne rakhne k liye.
- Spelling and grammar check kariye- Chahe koi v language ho, spelling aur grammar k mistake se readers aur search engines dono confuse ho jate hai. Aur agar search engines aapke baat ko samjhenge nahi to apko achi ranking kaise denge. Eis tarah k mistake apke brand k imafge ko v kharab karti hai. Isluye humesha content publish karne se pehle usko double check krle. Agar aap English me likh rahe hai to grammar check karne k liye grammarly ka v use kar sakte hai.
DotCreative ka main maksad hota hai ki apne clients’ aur readers ko kaise khush rakhe aur unke business ko nayi unchhaiyo tak pahochaye. Agar apko online business karne me koi v dikkat aa rahi ho aur apko kisi v salah masuwara ki jarurat ho aap hume 7980358244 pe call kar sakte hai ya [email protected] pe mail kar sakte hai.